dip andhon ke darmiyan hoga to ujale ka imtihan hoga dil ke andar bhi chaar khane hain koi kaise na bad-guman hoga jis ke pairon tale zamin hogi us ke qadmon mein aasman hoga ek haqiqat se aashna hun main sab ka duniya mein imtihan hoga jaoge tum jahan jahan 'ahya' ek diwana wahan wahan hoga