diwana tha jo zehn se uljha tamam raat

diwana tha jo zehn se uljha tamam raat
asbab-e-gham ki fikr mein jaga tamam raat

gham ke baghair zinda rahunga main kis tarah
bechain is khayal ne rakkha tamam raat

jab mere us ke bich talluq hi kuchh nahin
phir dil ko kya hua ki jo tadpa tamam raat

ye mere apne husn-e-tasawwur ki baat hai
rahta hai mere ghar bhi ujala tamam raat

'farman' un ki yaad mein to raat kat gai
achchha hua qarar na aaya tamam raat


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close