diwanon mein zikr-e-dil-e-diwana rahega jab main na rahunga mera afsana rahega gesu ki bhi nighat se wo begana rahega diwana teri zulf ka diwana rahega majnun ne kaha najd mein mujh se dam-e-akhir aabaad tere dam se ye virana rahega hathon mein wo mehndi bhi malen dil ka lahu bhi donon ka magar rang judagana rahega kabe ki taraf jaane ko hum jaenge zahid dil mahw-e-khyal-e-rah-e-but-khana rahega aaram milega na zamane mein 'jigar' ko dil mein jo na tu ai gham-e-jaanana rahega