diwar-e-takalluf hai to mismar karo na gar us se mohabbat hai to izhaar karo na mumkin hai tumhaare liye ho jaun main aasan tum khud ko mere waste dushwar karo na gar yaad karoge to chala aaunga ek din tum dil ki guzargah ko hamwar karo na bahar ke mahazon ki tumhein fath mubarak ab nafs ke shaitan ko giraftar karo na kahna hai agar kuchh to pas-o-pesh karo mat khul ke kabhi jazbaat ka izhaar karo na har rishta-e-jaan tod ke aaya hun yahan tak tum bhi meri khatir koi isar karo na 'aijaz' tumhaare liye sahil pe khada hun dariya-e-wafa mere liye par karo na