diya jala bhi nahin jo use bujha diya jae

diya jala bhi nahin jo use bujha diya jae
hamein bhi waqt se pahle hi ab sula diya jae

yahi raza hai agar katib-e-muqaddar ki
to jo panap na sake phir use mita diya jae

rahe na zad mein kisi bhi badalte mausam ki
nihaal-e-dil pe wahi phul ek khila diya jae

kisi ko pane ka ehsas is tarah se rahe
to bazm-e-dost se dushman ko hi utha diya jae

falak ko chhune ki be-sud aarzu na mile
main khak hun to mujhe khak mein mila diya jae

yahi mutalba 'raziya' hai aaj munsif se
hamare sabr-o-raza ka koi sila diya jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close