diya mauqa nahin KHud ko na un zaKHmon ko bharne ka

diya mauqa nahin khud ko na un zakhmon ko bharne ka
hunar aaya nahin mujh ko wafa kar ke badalne ka

nikal kar aankh se ye ashk jab dil tak pahunchte hain
tabhi matlab samajh aata namak zakhmon pe padne ka

badi jaldi utara aaj us ne qabr mein mujh ko
kiya karta tha jo wada hamesha sath chalne ka

naya kandha wo khojega shab-e-matam guzarte hi
dikhawa phir karega wo mohabbat mein bikharne ka

gulabon se saja hoga paraya hath phir koi
bhala wo kab talak yun gham karega mere marne ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close