diya munder pe dil ki jala rahi hun main hawa-mizaj ko wapas bula rahi hun main mujhe kisi ke bhi jaane se dukh nahin hota na jaane kis liye aansu baha rahi hun main ye teri marzi ki aae na aae wapas tu nizam-e-dil ko to dil se chala rahi hun main isi charagh se har samt raushni hogi jala hai dil to diye sab bujha rahi hun main jo hath aaj mujhe thamte nahin hain 'shabi' gae dinon mein to un ki dua rahi hun main