diye kitne andheri umr ke raston mein aate hain magar kuchh wasf hain jo aakhiri barson mein aate hain charagh-e-intizar aisi nigahbani ke aalam mein munderon par nahin jalte to phir palkon mein aate hain bahut aab-o-hawa ka qarz wajib hai magar hum par ye ghar jab tang ho jate hain phir galiyon mein aate hain miyan-e-ikhtiyar-o-e'tibar ek hadd-e-fasil hai jo hathon mein nahin aate wo phir bahon mein aate hain koi shai mushtarak hai phul kanton aur shoalon mein jo daman se lipatte hain garebanon mein aate hain kushada dast-o-bazu ko jo patjhad mein bhi rakhte hain parinde agle mausam ke unhi pedon mein aate hain