do chaar gam rah ko hamwar dekhna phir har qadam pe ek nai diwar dekhna aankhon ki raushni se hai har sang aaina har aaine mein khud ko gunahgar dekhna har aadmi mein hote hain das bis aadmi jis ko bhi dekhna ho kai bar dekhna maidan ki haar jit to qismat ki baat hai tuti hai kis ke hath mein talwar dekhna dariya ke is kinare sitare bhi phul bhi dariya chadha hua ho to us par dekhna achchhi nahin hai shahr ke raston se dosti aangan mein phail jae na bazar dekhna