donon taraf hi barson ye silsile rahe the kuchh wo the bad-guman se kuchh hum khinche rahe the jin ko mere junun se kuchh wasta nahin tha mud mud ke meri jaanib kyun dekhte rahe the tujh par khuda ki rahmat ai dil hai ye haqiqat jab tak na tha tera gham hum chain se rahe the wo gulshan-e-mohabbat taraj ho gaya kya kal tak jo khun-e-dil se hum sinchte rahe the hum ko tabah kar ke kitne sukun se hain hum muztarib hamesha jin ke liye rahe the dekha jo aaj un ko hairan rah gae sab kya kya na log hum ko ilzam de rahe the aao ki ittifaqan tum bhi ho aaj tanha hum bhi hujum-e-gham mein aksar ghire rahe the kya kya khayal aae firdaus-e-hosh ban kar kitne hasin azaem dil mein chhupe rahe the wo din bhi yaad hain jab ye haal tha ki hum par hansti rahi thi duniya hum dekhte rahe the itna to yaad hai jab wo ho rahe the rukhsat ta-der dil hi dil mein kuchh sochte rahe the hairan hun ki un ko kya ho gaya hai jaane sahil se jo musalsal aawaz de rahe the ek inqalab aakhir aa hi gaya jahan mein soti rahi thi duniya hum jagte rahe the lo dekh lo hain mere qadmon mein sar-ba-sajda ye but ki jin ko kal tak sab pujte rahe the guzre the hum bhi 'rahi' ek maqtal-e-wafa se kuchh log chal base the kuchh sans le rahe the