dore dale lal pari hai aankhon mein so bhi jao nind bhari hai aankhon mein phir mayyat ke bar se palken bojhal hain phir koi ummid meri hai aankhon mein dida-wari ke sab qisse un se mansub apni sarwat-e-kam-nazari hai aankhon mein aankhon mein katti hai shab wo kya jaanen be-khabari si be-khabari hai aankhon mein ek nazar mein dil ka sab aazar gaya yar ghazab ki chaaragari hai aankhon mein dil ka tair ab bhi naghme gata hai shayad koi shakh hari hai aankhon mein chaar huin to raste ki diwar huin kya nazron ki rahbari hai aankhon mein nind mein bhi un ki palken wa rahti hain jaane kis ki muntazari hai aankhon mein meri rahat mera haz mera aaram sari daulat tu ne dhari hai aankhon mein