dost bhi the us gali mein dushmanon ke sath-sath

dost bhi the us gali mein dushmanon ke sath-sath
phul bhi barse the mujh par pattharon ke sath-sath

ab kahan khwab-o-khayal o khal-o-khad pahle se hain
kis qadar badla hun main calendaron ke sath-sath

ab na-jaane mujh ko le jaen kahan aansu mere
ab to ek lamba safar hai paniyon ke sath-sath

shauq-e-baam-o-dar mein kuchh buniyaad ka socha nahin
ghar banata ja raha hun sahilon ke sath-sath

us ki ek taswir se tha rashk-e-jannat ghar mera
ghar mein ab kaise rahun viraniyon ke sath-sath

chupke-chupke jaane kya likhta raha hun raat-bhar
bakht bhi kala kiya hai kaghazon ke sath-sath

duriyan majburiyan tanhaiyan be-tabiyan
mustaqil rahtin hain hum pardesiyon ke sath-sath

aaj is andaz se gulshan mein lahrai saba
phul bhi udne lage kuchh titliyon ke sath-sath

chot kha baitha koi ya dil laga baitha kahin
aaj-kal hota hai 'sagar' sha'iron ke sath-sath


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close