dua hai aur na koi bad-dua hai ye duniya to mahz ek hadisa hai tumhaare samne jo aaina hai yaqin jaano wahi to aashna hai jo kahna tha wo hum ne kah diya hai bataen aap ka kya faisla hai ajab duniya hai insanon ki duniya jahan insaniyat hi gum-shuda hai tasawwur barha pahuncha wahin par zamir aksar jahan par rokta hai yahi sachchai hai har ek sach ki yahi lagta hai bas ek zawiya hai ye duniya jaan-e-jaan teri na meri makin sab hain magar malik khuda hai