dubara dil mein koi inqalab ho na saka tumhaari pahli nazar ko jawab ho na saka kamal-e-nur zawal-e-hijab ho na saka wo be-naqab kabhi be-naqab ho na saka dil-e-tapida hua bazm-e-husn se wapas nazar thahar na saki intikhab ho na saka rawish badal gai tewar tere nahin badle qayamat aai magar inqilab ho na saka kahan dil aur kahan dil ke aaine ki ada gharaz sawal se behtar jawab ho na saka mere sawal pe us ne nazar jo ki nichi phir us ka mujh se jawab-ul-jawab ho na saka jalal-e-rob hai 'natiq' jamal par us ke wo be-naqab kabhi be-naqab ho na saka