Dubne wala tha din sham thi hone wali

dubne wala tha din sham thi hone wali
yun laga meri koi chiz thi khone wali

subh ke sath hui khatm meri raat ki gasht
rah gai ek gali shahr ke kone wali

kitna shaffaf chamakta hua din tha jis ki
dhup thi pyar ki barish mein bhigone wali

kisi na-dida ghadi ke liye tayyar tha main
aisi chup thi ki koi baat thi hone wali

zindagi maili hui gard-e-mah-o-sal ke sath
ek jagah chhod ke hai puri ye dhone wali

lakh banjar ho zamin phir bhi panap jaegi
aakhiri shai jo mere pas hai bone wali

itni masruf hai hangama-e-be-masraf mein
subh se pahle nahin raat ye sone wali

zindagi aur hi hoti hai basar karne ko
teri meri hai faqat bojh ko dhone wali

kis jagah hoga mujhe jodne wala lamha
wo ghadi zat ke danon ko pirone wali

sara sabza tha kisi makhmali bistar ki tarah
aur zamin ghas ke takhte pe thi sone wali

yun to har baat yahan hoti rahegi lekin
teri khwahish ke mutabiq nahin hone wali

baat is bar gharon tak nahin rahni 'shahin'
ab ke tughyani hai shahron ko dubone wali


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close