dubne wale ko tinke ka sahaara hai bahut raat tarik sahi ek sitara hai bahut dard uthta hai jigar mein kisi tufan ki tarah tab teri yaadon ke daman ka kinara hai bahut zulm jis ne kiye wo shakhs bana hai munsif zulm par zulm ne mazlum ko mara hai bahut rah dushwar hai pag pag pe hain kante lekin rah-rau ke liye manzil ka ishaara hai bahut us ko pane ki tamanna hi rahi jiwan bhar dur se hum ne masarrat ko nihaara hai bahut fasle badhte gae umr bhi dhalti hi gai wasl ka khwab liye waqt guzara hai bahut hont khamosh the ek aah bhi hum bhar na sake barha dil ne magar tum ko pukara hai bahut jhuti tarif se lagta hai bahut dar 'mona' mithi baaton ne hi shishe mein utara hai bahut