duboe deta hai khud-agahi ka bar mujhe main dhalta nashsha hun mauj-e-tarab ubhaar mujhe ai ruh-e-asr mein tera hun tera hissa hun khud apna khwab samajh kar zara sanwar mujhe bikhar ke sab mein abas intizar hai apna jala ke khak kar ai sham-e-intizar mujhe sada-e-rafta sahi laut kar main aaunga faraaz-e-khwab se ai zindagi pukar mujhe azab ye hai ki mujhe jaise phul aur bhi hain salib-e-shakh se dast-e-khizan utar mujhe gharib-e-shahr nawa hi sahi magar yaro bahut hai apni hi aawaz ka dayar mujhe