dubte waqt jo kuchh hath mein gauhar aae sab ke sab nakhuda ke hath mein hum dhar aae jang ladne gae hum jo sahar-e-duniya se sham ko ghar kai hisson mein bikhar kar aae us ki aankhon ko tamashe ki tamanna hai bahut us se kahna ki kisi raat mere ghar aae hae us naql-e-makani ne kiya hai barbaad jitne basne ko gae utne ujad kar aae