duniya-e-dani hai matlab ki sab rishte nate tod diye ab khud pe bharosa karna hai jitne the sahaare chhod diye ab dil se dil ka milna kya bas hath milana kafi hai derina taur tariqon ne chalte chalte dam tod diye duniya-e-mohabbat ke andar nafrat ka andhera jin se badhe us daur-e-taraqqi ke aise jitne hain utha kar tod diye jo aandhiyon se takra bhi saken zulmat ka fusun bhi tod saken taqon mein saja kar pahle hi to kuchh aise rakh chhod diye kya milna-julna aapas mein ye sab kahne ki baaten hain hum dekh chuke is daur ne to dil tod diye sar jod diye jab zulm ke tufan umde hain jab yas ke baadal chhae hain duniya ko diya hai azm-e-jawan tarikh ko hum ne mod diye ai daur-e-siyasat ahd-e-zabun 'jarrar' se ye ummid na rakh us dar pe jhuka di peshani hath us ke aage jod diye