duniya-e-gham ko zer-o-zabar kar sake to kar rahmat ki mujh pe ek nazar kar sake to kar ai dil tu aisi aah agar kar sake to kar duniya udhar ki aaj idhar kar sake to kar ai aah-e-barq-rez tujhe rokta hai kaun us be-khabar ko meri khabar kar sake to kar mashhur hai ki ishq ki rahen hain khaufnak himmat se pahle puchh safar kar sake to kar aariz hain tere zulfen bhi teri kisi se kya ek ja pe jama sham-o-sahar kar sake to kar nadan hadis-e-ishq ke mani kuchh aur hain qabu mein dil ko apne agar kar sake to kar ai aah tu hi hausla apna nikal le us sang-dil ke dil pe asar kar sake to kar 'alim' jahan-e-ishq ki dushwariyan na puchh dil ko jo raazdar-e-jigar kar sake to kar