duniya-e-mohabbat mein hum se har apna paraya chhut gaya ab kya hai jis par naz karen ek dil tha wo bhi tut gaya saqi ke hath se masti mein jab koi saghar chhut gaya mai-khane mein ye mahsus hua har mai-kash ka dil tut gaya jab dil ko sukun hi ras na ho phir kis se gila nakaami ka har bar kisi ka hathon mein aaya hua daman chhut gaya socha tha harim-e-jaanan mein naghma koi hum bhi chhed saken ummid ne saz-e-dil ka magar jo tar bhi chheda tut gaya kya shai thi kisi ki pahli nazar kuchh is ke alawa yaad nahin ek tir sa dil mein jaise laga paiwast hua aur tut gaya is naghma-taraaz-e-gulshan ne toda hai kuchh aisa saz-e-dil ek tar kahin se tut gaya ek tar kahin se tut gaya