duniya-jahan ke jam chhalak jaen ret par

duniya-jahan ke jam chhalak jaen ret par
kya kijiye ki hont bahak jaen ret par

pani ki chah bhi ho samundar ka khauf bhi
lahron ke sath sath humak jaen ret par

go lakh sipiyon mein samundar key qaid hon
moti wahi jo phir bhi jhalak jaen ret par

kasa har ek sadaf ka luta jae ashrafi
lal-o-jawaharaat khanak jaen ret par

tuk aankh tu bhi khol ki dariya ke lab khulen
saton disha ke dant chamak jaen ret par

chhin jaen ras ke farsh se dharti ke ghaar mein
aur aasman ki chhat se tapak jaen ret par

rakhiye safar mein sab ki tan-asaniyon ki khair
aisa na ho ki ghode bidak jaen ret par

sargoshiyon ki mauj kahan le ke jaegi
hum kuchh agar junun mein bak jaen ret par

suraj ki aasman pe sitaron ko dhanp le
zarron se aaftab damak jaen ret par

dil ki dhadakti khak se sahil banaiye
pani ke panw aaj thirak jaen ret par


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close