duniya ka zara ye rang to dekh ek ek ko khae jata hai

duniya ka zara ye rang to dekh ek ek ko khae jata hai
ban-ban ke bigadta jata hai aur baat banae jata hai

insan ki ghaflat kam na hui qanun-e-fana ki 'ibrat se
har gam pe kitne panw bhi hain aur sar bhi uthae jata hai

is ko na khabar kuchh us ki hai us ko hai na kuchh parwa is ki
rota hai rulae jata hai hansta hai hansae jata hai

kuchh soch nahin kuchh hosh nahin fitnon ke siwa kuchh josh nahin
wo lut ke bhaga jata hai ye aag lagae jata hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close