duniya ko jab pahchani to kanp gai sar se jab guzra pani to kanp gai pas raha to qurbat ka ehsas na tha us ne jaane ki thani to kanp gai ghar se bahar jaan-lewa sannata tha dekhi shahr ki virani to kanp gai phulon ke malbus mein kaisa lagta tha dekhi ped ki uryani to kanp gai hijr ki shab ne 'jaanan' kya tahrir kiya dekhi apni peshani to kanp gai