duniya mein gham raha na ba-zahir khushi rahi jis waqt tak jiye khalish-e-zindagi rahi jab tak meri nazar mein tajalli teri rahi khud rahbar-e-khirad meri diwangi rahi hum to suna ke gham ka fasana chale gae sunte hain der tak tere lab par hansi rahi aksar shab-e-firaq sitaron ki chhanw mein yaad aap ki sharik-e-gham-e-bekasi rahi aisa bhi ek maqam mohabbat mein aa gaya wo iztirab-e-shauq na wo be-khudi rahi nazren mila ke tum se yahi sochta raha izhaar-e-dard dil mein kahan tak kami rahi taskin ka khayal bhi aata nahin mujhe achchha hua na un ki nawazish kabhi rahi un ki samajh mein aa gain majburiyan meri is jabr-e-zindagi mein bhi ek zindagi rahi kaliyon ke bankpan mein gulon ke nikhaar mein gulshan mein har taraf teri jalwagari rahi samjhenge ahl-e-dil ise tauhin-e-bandagi 'sajid' rahin-e-sajda agar bandagi rahi