duniya mein wafa-kesh bashar dhundh raha hun main nakhl-e-sanobar mein samar dhundh raha hun main apni duaon mein asar dhundh raha hun tarik fazaon mein qamar dhundh raha hun main aur tamasha-e-gul-o-rang pe mail khoya hua ek zauq-e-nazar dhundh raha hun wo subh-e-qayamat mein hue jate hain pinhan main sham-e-musibat ki sahar dhundh raha hun khushbu ki tarah khalwat-e-gul se hun ramida zindan-e-tamanna se mafar dhundh raha hun tashbih ke afsun ka asar puchho na 'rana' shamshir mein us but ki nazar dhundh raha hun