duniya se har rishta toda khud se ru-gardani ki sirf tumhaara dhyan rakha aur jine mein aasani ki majnun aur farhad hue jab ishq mein sab barbaad hue tab jangal ne kuch kiya sahra ne naql-e-makani ki us ki mohni surat jaise phulon ka aameza hai aur us ki aawaz hai goya re-ga-ma-pa-dhani ki bhuli-bisri yaad ne jab daryaft kiya ahwal mera dil ne zakhm kalam kiya aankhon ne ashk-bayani ki ilm ka dam bharna chhodo bhi aur amal ko bhul bhi jao aaina-khane mein ho sahib fikr karo hairani ki