duniya se hue baithe ho ru-posh ai jaana jalwa bhi sar-e-am hai pur-josh ai jaana din dasht mein achchhe se guzar jata hai aksar jab aata hai yaad aalam-e-aghosh ai jaana ye log shab-e-hijr bilakhte the jo behad mahshar se guzar aae hai khamosh ai jaana kal raat to tum bhi the hamein yaad ba-tartib aaj utthe hain khud se hi faramosh ai jaana chhilte the badan jin ke hawaon se wahi gul bulbul ke hain sab qatl pe khamosh ai jaana kanton se bhare hain dar-o-diwar-o-dariche itne ki saba bhi hai lahu-posh ai jaana