duniya se talluq to nibhana hi padega hum kya hain zamane ko batana hi padega ye log samajhte hain kahan ramz-o-kinaya uslub naya koi banana hi padega kuchh der meri aankh mein tu jag raha hai kuchh der sitaron ko jagana hi padega phenka tha jise hum ne kabhi khota samajh kar lagta hai wo sikka bhi chalana hi padega malum to ho kaun hai ab mera wafadar ek raat charaghon ko bujhana hi padega jis aankh mein har-waqt chamakte hain sitare us aankh se ek khwab churana hi padega