dur dur manzil ka kuchh pata nahin milta raat ke musafir ko rasta nahin milta wo tera sitam jis par dil ko pyar aata hai ye meri wafa jis ka kuchh sila nahin milta dard ke samundar mein dil ki naw dubi thi tum kahan the aise mein kuchh pata nahin milta sab gham-e-mohabbat ka jabr sah nahin sakte sab ko zahar pine ka hausla nahin milta hae us sitamgar ko us gile ka shikwa hai dil ke sare qisse mein jo gila nahin milta dil ki rahguzaron ko jaane kya hua 'masrur' ab koi bahaaron ka qafila nahin milta