dur hongi na ye balaen kya be-asar jaengi dawaen kya hum ne kah to diya ki zinda hain is ke aage bhi kuchh bataen kya hum to apna wajud haar gae aur ab danw par lagaen kya kya ye kah den ki hum bahut khush hain aap se jhut bol jaen kya us ke aage chali hai kab kis ki phir muqaddar ko aazmaen kya hath khali the ab bhi khali hain phir tere dar se laut jaen kya aap kahte hain hum se rona mat aisi haalat pe muskuraen kya