dur hua ibham kahani khatm hui aa pahuncha anjam kahani khatm hui shahzada shahzadi rasta bhul gae rah mein ho gai sham kahani khatm hui mat chhedo wo saz-e-talluq khatm hua mat lo us ka nam kahani khatm hui kis ki khatir ab tu dhadakta rahta hai ai dil kar aaram kahani khatm hui sunne wale bas thoda sa sabr karen qissa hua tamam kahani khatm hui guzri umr ki baaton ko dohrana kya ab khwahish hai kham kahani khatm hui yaad nahin hai bichhde wo kirdar kahan yaad nahin kis gam kahani khatm hui 'shabnam' aao naya safar aaghaz karen yan apna kya kaam kahani khatm hui
Please share if you liked this!!!