dur se aae the saqi sun ke mai-khane ko hum bas taraste hi chale afsos paimane ko hum mai bhi hai mina bhi hai saghar bhi hai saqi nahin dil mein aata hai laga den aag mai-khane ko hum kyun nahin leta hamari tu khabar ai be-khabar kya tere aashiq hue the dard-o-gham khane ko hum hum ko phansna tha qafas mein kya gila sayyaad ka bas taraste hi rahe hain aab aur dane ko hum taq-e-abru mein sanam ke kya khudai rah gai ab to pujenge usi kafir ke but-khane ko hum bagh mein lagta nahin sahra se ghabraata hai dil ab kahan le ja ke baithen aise diwane ko hum kya hui taqsir hum se tu bata de ai 'nazir' taki shadi-marg samjhen aise mar jaane ko hum