dur ta-hadd-e-nazar aab-e-shajar kuchh bhi nahin jaane kya kya tha nigahon mein magar kuchh bhi nahin jis ki takmil mein ek umr hui apni tamam waqt aaya to wo saman-e-safar kuchh bhi nahin dur tak phail gai zakhm chatakne ki sada wo bahut pas tha aur us ko khabar kuchh bhi nahin har nafas karb ke jangal mein bhatakne ke siwa aagahi kuchh bhi nahin fikr-o-nazar kuchh bhi nahin ab wo ek pal ki masarrat ho ki sadiyon ka alam koi surat ho in ashkon se mafar kuchh bhi nahin raat phir jal ke pighal ke to sahar tak pahunchen phir ye dekhen sar-e-daman-e-sahar kuchh bhi nahin