dushman ke sath dost bhi shishon ke ghar mein tha lekin main dasht-o-koh pe paiham safar mein tha yun dekhne mein dur se har shai thi dil-nashin ek dard sa basa hua sham-o-sahar mein tha mahfil mein apne aap se hum puchhte rahe kis ka lahu makan ke diwar-o-dar mein tha ye sach hai tere aane se mausam badal gaya warna bada jumud sa ahl-e-nazar mein tha tuta hua tha waqai andar se aadmi taron ko tod lane ka sauda to sar mein tha 'masud' raat kat ke saghar ke daur mein shaikhon ke sath sath wo allah ke ghar mein tha