dusra faisla nahin hota ishq mein mashwara nahin hota khud hi sau raste nikalte hain jab koi rasta nahin hota jab talak ru-ba-ru na ho koi aaina aaina nahin hota apna samjha to kah diya warna ghair se to gila nahin hota kuchh na kuchh pahle khona padta hai muft mein tajraba nahin hota