dusron ke waste bad-haal rah kar kya mila gham chhupa kar umr bhar khush-haal rah kar kya mila sirf logon ko hansi aai mere haalat par kya bataen be-sabab kangal rah kar kya mila be-sahaara un parindon ka thikana pith par aap kya samjhenge mujh ko dal rah kar kya mila neh ki puchkariyon ke sath main ashish bhi main samajh sakta hun roti dal rah kar kya mila jaanwar insan pakshi koi bhi aata nahin ganw ka sukha hua phir tal rah kar kya mila in parindon ko pakad kar qaid karna be-sabab sonchta hun zindagi bhar jal rah kar kya mila aankh se bahte hue aansu nahin pochhe gae wyarth hi rakkha raha rumal rah kar kya mila