ehsan hai go tera sitam uth nahin sakta khuddar se ye bar-e-karam uth nahin sakta khud but ke pujari na samajh pae haqiqat tum se ye hijab ahl-e-haram uth nahin sakta ab but hain haram mein na tajalli-e-butan hai kabe ki taraf mera qadam uth nahin sakta jis dard pe nazan hain shahidan-e-mohabbat wo dil mein kabhi tere sanam uth nahin sakta hun rahat-o-aram se imdad ka talib ab dil se mere bar-e-alam uth nahin sakta eazaz ye hasil hai faqat ahl-e-qalam ko har ek se hathon mein qalam uth nahin sakta