ehsan le na himmat-e-mardana chhod kar rasta bhi chal tu sabza-e-begana chhod kar marne ke baad phir nahin koi sharik-e-haal jata hai sham-e-kushta ko parwana chhod kar honton pe aaj tak hain shab-e-aish ke maze saqi ka lab liya lab-e-paimana chhod kar afi nahin khuli hui zulfon ka aks hai jate kahan ho aaina o shana chhod kar tul-e-amal pe dil na lagana ki ahl-e-bazm jaenge na-tamam ye afsana chhod kar labrez jam-e-umr hua aa gai ajal lo uth gae bhara hua paimana chhod kar us pir-zal-e-dahr ki hum thokaron mein hain jab se gai hai himmat-e-mardana chhod kar pahron hamara aap mein aana muhaal hai koson nikal gaya dil-e-diwana chhod kar utra jo shisha taq se zahid ka hai ye haal karta hai raqs sajda-e-shukrana chhod kar ye suma-o-riya to nishani hai kufr ki zunnar bandh subha-e-sad-dana chhod kar rindan-e-mai-kada bhi hain ai khizr muntazir basti mein aaiye kabhi virana chhod kar ehsan sar pe laghzish-e-mastana ka hua hum do qadam na ja sake mai-khana chhod kar wadi bahut muhib hai bim-o-umid ka dekhenge sher par dil-e-diwana chhod kar ro ro ke kar rahi hai surahi widaa use jata hai dur dur jo paimana chhod kar tauba to ki hai 'nazm' bina hogi kis tarah kyun-kar jiyoge mashrab-e-rindana chhod kar