ehsas-e-ashiqi ne begana kar diya hai yun bhi kisi ne aksar diwana kar diya hai ab kya umid rakkhun ai husn-e-yar tujh se tu ne to muskura kar diwana kar diya hai tujh se khuda hi samjhe tu ne kisi ko ai dil mujh se bhi kuchh ziyaada diwana kar diya hai phir us ke dekhne ko aankhen taras rahi hain yaadash ba-khair jis ne diwana kar diya hai mujh ko junun se apne shikwa jo hai to ye hai meri mohabbaton ko afsana kar diya hai ai husn-e-roz afzun umrat daraaz baad donon jahan se mujh ko begana kar diya hai jab dil mein aa gaya hai ek jumbish-e-nazar ne diwana kah diya diwana kar diya hai mujh se hi puchhte hain ye shokhiyan to dekho mere 'jigar' ko kis ne diwana kar diya hai