ehsas ka qissa hai sunana to padega har zakhm ko ab phul banana to padega mumkin hai mere sher mein har raaz ho lekin ek raaz pas-e-sher chhupana to padega aankhon ke jaziron pe hain nilam ki qataren khwabon ka janaza hai uthana to padega chehre pe kai chehre liye phirti hai duniya ab aaina duniya ko dikhana to padega zehnon pe musallat hain siyah soch ke baadal zulmat mein diya dil ka jalana to padega wo dushman-e-jaan jaan se pyara bhi hamein hai ruthe wo agar us ko manana to padega rishton ka yahi wasf hai 'zakir' ki nazar mein kamzor sahi rishta nibhana to padega