ek aakhiri umid hun ek rasta hun main chal kar gira hun aur sanbhal kar utha hun main sunti hai is tarah se meri zindagi mujhe tute hue ghurur ki bikhri sada hun main wabasta is qadar tha main aangan ki dhup se diwar jab uthai gai gir pada hun main kal raat apne khwab mein pyasa hi mar gaya dariya teri talash mein jaan se gaya hun main ek silsila tha pusht thi khanjar tha war tha hairat-zada hain yar ki ab tak khada hun main mujh ko nikalni thi kai surajon ki rah duniya samajh na pai ki kyunkar bujha hun main hain be-asar ye khun ke dhabbe ye shor-o-ghul main hun zamir-e-qaum abhi so raha hun main dekha hai main ne khak bhi sahra bhi dasht bhi wahshat tere hudud se aage gaya hun main wahm-o-guman walo mere pas aao to mujh se nazar milao ki ek aaina hun main