ek aalam hai ye hairani ka jina kaisa kuchh nahin hone ko hai apna ye hona kaisa khun jamta sa rag-o-pai mein hue shal ehsas dekhe jati hai nazar haul tamasha kaisa regzaron mein sarabon ke siwa kya milta ye to malum tha hai ab ye achambha kaisa aable panw ke sab phut bahe be-nishtar ras aaya hamein in kharon pe chalna kaisa phir kabhi sochenge sach kya hai abhi to sun len log kis kis ke liye kahte hain kaisa kaisa sui aankhon ki bhi main ne hi nikali thi magar dekh ke bhi mujhe us ne nahin dekha kaisa kitni sada thi hatheli meri rangin hui meri ungli mein utar aaya hai kanta kaisa aaina dekhiye 'bilqis' yahi hain kya aap aap ne apna bana rakkha hai huliya kaisa