ek aan mein hi yun tera paikar badal gaya jaise stage par koi manzar badal gaya sunta nahin hai koi bhi meri pukar ko dastak badal gai ki mera ghar badal gaya ek aan mein hi sab dar-o-diwar dhul gae barish se shahr-bhar ka muqaddar badal gaya khalwat mein jis ke lab pe the meri wafa ke git wo shakhs mere samne aa kar badal gaya 'betab' ab to had-e-nazar tak hi ret hai raaton hi raat kitna samundar badal gaya