ek aas to hai koi sahaara nahin to kya raste mein kuchh shajar to hain saya nahin to kya rahta hai koi shakhs mere dil ke aas pas main ne use qarib se dekha nahin to kya tu hi bata ki chahen tujhe aur kis tarah ye teri justuju ye tamanna nahin to kya hum dur dur rah ke bhi chalte rahe hain sath hum ne qadam qadam se milaya nahin to kya reg-e-rawan ki tarah hain sare talluqat tum ne kisi ka sath nibhaya nahin to kya waise hamein to pyas mein dariya ki thi talash ab ye sarab hi sahi dariya nahin to kya socha bhi tum ne dasht chaman kaise ban gaya mehnat ka ye araq ye pasina nahin to kya 'mohsin' meri nigah ko achchha laga wahi duniya ki wo nazar mein jo achchha nahin to kya