ek aaseb ka saya tha jo sar se utra jaise ek tair-e-manhus shajar se utra yun laga jaise giran-bari-e-shab khatm hui ghaza-e-kizb-o-riya ru-e-sahar se utra apna ghar bhi mujhe zindan ki tarah lagta tha zang-alud sa tala mere dar se utra shayad ab talkh haqaeq se shanasai ho kor-chashmi ka ye parda sa nazar se utra gham ka izhaar nahin ashk-e-nadamat jaano qatra-e-ab agar dida-e-tar se utra rahraw-e-dasht-e-bala ranj-e-safar bhulega takht-e-bilqis agar gard-e-safar se utra ab shafaq-rang ujalon ka saman dekhenge halqa-e-abr-e-siyah shams-o-qamar se utra