ek aashna akasr pas se guzarta hai mujh pe meri sachchai aashkar karta hai kis qadar hatela hai tera be-zaban saya jism ki tarah akasr ruh mein utarta hai aap kis liye mujh ko dekhte hain hairat se aadmi mohabbat mein kuchh bhi kar guzarta hai kya khabar ye basti hi aandhiyon mein ud jae ek parinda par apne kholne se darta hai tere nam ke sae rakh ke apne honton par sirf main bikharti hun tu kahan bikharta hai ek qarib ka rishta pherta hai jab nazren aadmi nahin marta e'tibar marta hai be-zaban lakiren hain na-murad khake hain dekhna hai ab in mein kaun rang bharta hai khauf qurbaton ka bhi khauf faslon ka bhi zindagi ka har lamha dubta ubharta hai jab tumhaare bare mein sochti hun main 'usha' aasman se dil mein nur sa utarta hai