ek aayat padh ke apne-ap par dam kar diya hum ne har chehre ki jaanib dekhna kam kar diya ehtiraman us ke qadmon mein jhuka nadan main us ne mera qad hamesha ke liye kam kar diya mujh se auron ki judai bhi sahi jati nahin main ne do bhigi hui palkon ko baham kar diya khil rahe hain mujh mein duniya ke sabhi nayab phul itni sarkash khak ko kis abr ne nam kar diya kar rahe the ishq mein sud o ziyan ka wo hisab un ke takhmine ne mera dard bhi kam kar diya sath jitni der rah lun kaun sa khulta hai wo us ne danista mere sheron ko mubham kar diya