ek ajab kaifiyat-e-hosh-ruba tari thi

ek ajab kaifiyat-e-hosh-ruba tari thi
qarya-e-jaan mein kisi jashn ki tayyari thi

sar jhukae hue maqtal mein khade the jallad
takhta-e-dar pe latki hui khuddari thi

khun hi khun tha darbar ki diwaron par
qabiz-e-takht-e-wirasat ki riya-kari thi

ek saat jo teri zulf ke sae mein kati
hijr bar-dosh zamanon se kahin bhaari thi

aur sab thik tha bas hum se bhulai na gai
tere khamosh rawayye mein jo be-zari thi

ek qayamat thi ki ruswa sar-e-bazar the hum
aur phir us ki wo tashwish bhi bazari thi

tere mahkum tere hashiya-bar-daron ki
sirf wardi hi nahin soch bhi sarkari thi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close