ek aur zindagi hai suna hai qaza ke baad yani saza hai aur abhi is saza ke baad kya jaaniye kahan main khada chikhta raha ubhri na bazgasht bhi meri sada ke baad lagta hai ab ye zor-e-talatum ko dekh kar jaise na ho khuda bhi mera na-khuda ke baad badlo jo tum nigah to ye bhi rahe khayal aaina tut jae hai aks-e-jafa ke baad 'asrar' aadmi hun koi dewta nahin manzil bhi chahta hun main rah-e-wafa ke baad